dupaTTā vo gulnār dikhlā ga.e
na.e sur se phir aag bhaḌkā ga.e
tumhārī zidoñ se ham uktā ga.e
kisī roz sun lenā kuchh khā ga.e
hamārī fuġhāñ se na maano burā
kahāñ tak kareñ zabt ghabrā ga.e
qafas se chhuTe kin dinoñ yā-nasīb
ki patte bhī phūloñ ke murjhā ga.e
ga.e mere dushman ke phūloñ meñ vo
mujhe ġham ke kāñToñ meñ uljhā ga.e
hamāre gul-andām kā hai ye rañg
zarā dhuup meñ nikle sañvlā ga.e
ye sar choT furqat ke sadme rahī
bahut kāsa-e-sar meñ baal aa ga.e
lahad meñ gire jab huā sar safed
paḌī dhuup aisī ki teyorā ga.e
na pahuñchī chaman tak ḳhizāñ aa ga.ī
diloñ ke kañval khil ke kumhlā ga.e
kisī kī vo zulfeñ jo yaad aa ga.iiñ
mire siine par saañp lahrā ga.e
falak abr kī tarah phaT jā.egā
mire naale jis roz Takrā ga.e
har ik baat kī tah samajhne lage
bahut duur ho ham tumheñ pā ga.e
huā dhuup meñ bhī na kam husn-e-yār
kanhayyā bane vo jo sañvlā ga.e
na joban ubharne diyā naaz ne
dupaTTā jo sarkā to sharmā ga.e
miyāñ-'bahr' kyuuñ chupke chupke ho aaj
jo mehmān aa.e the vo kyā ga.e