Azra Naqvi

apne ehsas-e-sharar-bar se Dar lagta hai

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
apne ehsās-e-sharar-bār se Dar lagtā hai
apnī hī jur.at-e-iz.hār se Dar lagtā hai
itnī rāhoñ kī sa.ūbat se guzar jaane ke ba.ad
ab kise vādī-e-pur-ḳhār se Dar lagtā hai
kitne hī kaam adhūre haiñ abhī duniyā meñ
umr kī tezī-e-raftār se Dar lagtā hai
saarī duniyā meñ tabāhī ke sivā kyā hogā
ab to har sub.h ke aḳhbār se Dar lagtā hai
ḳhud ko manvā.ūñ zamāne se to TukḌe ho jā.ūñ
kuchh rivāyāt kī dīvār se Dar lagtā hai
shauq-e-shorīda ke hāthoñ hue badnām bahut
ab to har jazba-e-bedār se Dar lagtā hai
jāntī huuñ ki chhupe rahte haiñ fitne is meñ
aap kī narmī-e-guftār se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com