dil ko har surma.ī rut meñ yahī samjhāte haiñ
aise mausam ka.ī aate haiñ guzar jaate haiñ
had se baḌh jaatī hai jab talḳhī-e-imroz to phir
ham kisī aur zamāne meñ nikal jaate haiñ
rāt-bhar niiñd meñ chalte haiñ bhaTakte haiñ ḳhayāl
sub.h hotī hai to thak haar ke ghar aate haiñ
kaise ghabrā.e se phirte haiñ mire ḳhaal ġhazāl
zindagānī kī kaḌī dhuup meñ sañvlāte haiñ
phuul se log jo ḳhushbū ke safar par nikle
dekhte dekhte kis tarah se murjhāte haiñ
chhoḌiye jo bhī huā Thiik huā biit gayā
aa.iye raakh se kuchh ḳhvāb uThā laate haiñ