Imdad Ali Bahr

main siyah-ru apne Khaaliq se jo neamat mangta

Imdad Ali Bahr

1810-1878
maiñ siyah-rū apne ḳhāliq se jo ne.amat māñgtā
apnā muñh dhone ko pahle āb-e-ḳhajlat māñgtā
mere rūkhe-sūkhe TukḌe mujh ko kar dete haiñ ser
ḳhaak bhar detā falak muñh meñ jo ne.amat māñgtā
ḳhalq par hotī jo ādāb-e-shahādat āshkār
murġh-e-bismil bhī taḌapne kī ijāzat māñgtā
rahm ham-āfat-rasīdoñ par jo kartā āsmān
saañs lene kī hujūm-e-ġham meñ mohlat māñgtā
roltā motī jo kartā kisht-kārī ḳhair kī
hun barastā maiñ agar bārān-e-rahmat māñgtā
past-baḳhtī ne mujhe mahfūz rakkhā shukr hai
TuuT paḌtā āsmāñ sar par jo rif.at māñgtā
qadr mere gauhar-e-dil kī kuchh us but ne na kī
but-kada līlām hotā maiñ jo qīmat māñgtā
ek bosa māñgne par yaar kā ruḳh phir gayā
jaan maiñ detā agar vo be-muravvat māñgtā
maiñ agar āzādgī meñ sarv ko kartā murīd
terā guldasta sā qad tuubā se bai.at māñgtā
dekh paatā kushtagān-e-ishq kā rutba agar
paanī pī pī kar ḳhizar jām-e-shahādat māñgtā
dil meñ paḌte zaḳhm agar gulzār kī kartā havas
maiñ lahū rotā agar bārān-e-rahmat māñgtā
kab rahā sīmāb jab sīmāb chāñdī ho gayā
qalb māhiyyat mirī hotī jo daulat māñgtā
kyā ḳhabar thī sub.h ho jā.egī tere nuur se
shaam se merā charāġh-e-ḳhāna ruḳhsat māñgtā
aañkh jhuk jaatī nazar aatā agar tū ḳhvāb meñ
tere ḳhāl-e-ruḳh se yūsuf dāġh-e-hasrat māñgtā
khā.iye kyūñkar nivāle motiyoñ ke ai havas
tā.ir-e-dil hans kī ai kaash qismat māñgtā
josh-e-vahshat le chalā itnī na mohlat de mujhe
koh-o-sahrā ke azīzoñ se tū ruḳhsat māñgtā
dushmanī rakhtā hai arbāb-e-manash se āsmāñ
haath maltā umr-bhar dam-bhar jo rāhat māñgtā
be diye mumkin nahīñ duniyā meñ ho ijrā-e-kār
āmiloñ se ism-e-āzam bhī hai dāvat māñgtā
ḳhūn-e-āshiq par kamar bāñdhe hue haiñ ḳhūb-rū
teġh-e-misrī halq par hotī jo sharbat māñgtā
kyā ḳhabar thī āsiyoñ kī bhī duā maqbūl hai
'bahr' duniyā ke bakheḌe se farāġhat māñgtā
Top Urdushayar.com