Jitendra Mohan Sinha Rahbar

aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
aaj mahfil meñ na.e sar se sañvar ā.eñge
un ko ma.alūm hai kuchh ahl-e-nazar ā.eñge
rū-ba-rū yaar ke gar bār-e-digar jā.eñge
kar ke ham ek baḌā ma.arka sar ā.eñge
ye to dhamkī hai ki vo ġhair ke ghar jā.eñge
ham-nashīñ dekhnā hir-phir ke idhar ā.eñge
sabr karne ko jo kahte haiñ nahīñ aate haiñ
kyā mire zaḳhm-e-jigar aap hī bhar ā.eñge
kaun umiid mirī aap se puurī hogī
kaun armān mere aap se bar ā.eñge
laakh pardoñ meñ raheñ mujh se nihāñ roz-ba-roz
ḳhvāb meñ vo mujhe har shab ko nazar ā.eñge
dar se phir us but-e-pur-fan ke hamāre naale
saaf zāhir hai ki māyūs-e-asar ā.eñge
chashm-e-bīnā se jo dekheñge mirā parda-e-dil
ai masīhā ka.ī nāsūr nazar ā.eñge
koī kah do ki bas ab aur tavaqquf na kareñ
varna ham jī se guzarne pe utar ā.eñge
nā-tavānī se hamārī tujhe kyā terā sambhāl
ham tire sāmne phir sīna-sipar ā.eñge
āzmā.eñge ġham-e-hijr kā ik aur ilaaj
kar ke sahrā meñ kuchh ayyām basar ā.eñge
rahbarī ḳhaak rah-e-ishq meñ in se hogī
dil agar hazrat-e-'rahbar' kahīñ dhar ā.eñge
Top Urdushayar.com