gayā javānī kā saath sab kuchh vo garmi-e-ishq ab kahāñ hai
jo maiñ ne us vaqt aah kī hai bujhī huī aag kā dhuāñ hai
lage bujhātā nahīñ vo dushman jalan ye hai pheñk rahā hai tan-man
charāġh sā dāġh-e-dil hai raushan diyā-salā.ī hai ustuḳhvāñ hai
tabī.at apnī hai kyuuñ mukaddar nahīñ samajhtā na samjhe dilbar
karegā dushman bhī rahm ham par agar ḳhudā apnā mehrbāñ hai
khule haiñ dāġhoñ ke phuul tan par bahār-e-tāza hai ai gul-e-tar
kabhī to merī taraf nazar kar chaman meñ kyā shāḳh-e-za.afrān hai
kabhī hai mānind-e-mauj-e-dariyā kabhī hai misl-e-ġhubār-e-sahrā
kahūñ maiñ kyā haal apne dil kā bichhaḌ ke mujh se ravāñ-davāñ hai
talaf hue jis meñ zindagānī basar hue jis meñ naujavānī
vo merī biitī huī kahānī suno agar shauq-e-dāstāñ hai
yahī haiñ ma.anī-e-ishq-e-kāmil ki sau balāoñ se huuñ muqābil
buland hai ab jo nāla-e-dil sipāh-e-andoh kā nishāñ hai
ḳhudā na dikhlā.e achchhī sūrat abhī to aa jaatī hai harārat
paḌegī be-shak nigāh-e-ulfat za.iif go maiñ huuñ dil javāñ hai
hazār afsos umr khoī na dekhā dīn-dār ham ne koī
hai vā.izoñ meñ fasāna-goī madrasoñ meñ chunīñ-chunāñ hai
barā-e-zar muttaqī bane haiñ husūl ke mas.ale chhine haiñ
murīd jo haiñ vo but bane haiñ matā-e-islām rā.egāñ hai
koī to 'saudā' kā hai muvassif koī 'taqī'-mīr kā muārrif
batāo ai dostān-e-munsif ka.ī hamārā bhī qadr-dāñ hai
sune hai maiñ ne fuġhān-e-bulbul bahār meñ hai mujhe ta.ammul
chaTak rahā hai jo ġhuncha-e-gul sadā-e-naqqāra-e-ḳhizāñ hai
kiyā hai kyuuñ 'bahr' se kinārā tirī judā.ī ne mujh ko maarā
are but-e-sañg-dil ḳhudā-rā bulā le mujh ko bhī to jahāñ hai