hairāñ huuñ dil kā haal chhupā.ūñ kahāñ kahāñ
sab jaan ga.e baat banā.ūñ kahāñ kahāñ
ik chiiz zaḳhm-e-dil hai dikhā.ūñ kahāñ kahāñ
ik baat soz-e-dil hai sunā.ūñ kahāñ kahāñ
do chaar hoñ maqām to tīrath bhī kar bane
har jā jo tū rahe to maiñ jā.ūñ kahāñ kahāñ
har shai meñ har bashar meñ nazar aa rahā hai tū
sajde meñ apne sar ko jhukā.ūñ kahāñ kahāñ
sahrā sahī nasīb meñ par kyā merī sa.at
ik musht-e-ḳhāk ḳhaak uḌā.ūñ kahāñ kahāñ
mahfil meñ mai-kade meñ ki bazm-e-raqīb meñ
batlā ki tujh se aañkh churā.ūñ kahāñ kahāñ
ik dasht-e-lā-hisāb meñ khoyā gayā hai dil
'rahbar' ab us ko DhūñDne jā.ūñ kahāñ kahāñ