Jitendra Mohan Sinha Rahbar

kaif-e-junun sahi yahi haalat bani rahe

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
kaif-e-junūñ sahī yahī hālat banī rahe
lillāh merī un kī mohabbat banī rahe
jo ho gayā so ho gayā ab us ko chhoḌiye
yuuñ kījiye ki ishq kī azmat banī rahe
mere gunah hazār sahī sau kī ek baat
ye hai ki dil meñ aap kī rahmat banī rahe
ai dost tere milne kī sūrat nahīñ sahī
kuchh tere kaam aane kī tāqat banī rahe
dīdār ke ḳhayāl kī jur.at nahīñ mujhe
dar ko salām karne kī aadat banī rahe
ai ishq tū ne ḳhuub kiyā baaġh baaġh dil
tā-umr in guloñ kī ye nik.hat banī rahe
vo aa ga.e haiñ ḳhud hī mirī zindagī meñ ab
āñkhoñ meñ is yaqīn kī jalvat banī rahe
har sū ayaañ bahisht har ik gaam par iram
har lamha vasl hai ye aqīdat banī rahe
yā-rab maiñ kar gayā huuñ kuchh aisī hī ik ḳhatā
yuuñ kījiyo ki dahr meñ izzat banī rahe
'rahbar' ham un se kahte haiñ ham par jafā kareñ
un ko duā.eñ dene kī aadat banī rahe
Top Urdushayar.com