Jitendra Mohan Sinha Rahbar

mata-e-KHun-e-jigar ashk ko pila baiThe

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
matā-e-ḳhūn-e-jigar ashk ko pilā baiThe
asāsa haath meñ jitnā thā sab uThā baiThe
kisī hasīn se dil ko jo ham lagā baiThe
to apnī maut ko ḳhud aap hī bulā baiThe
baḌā gunāh kiyā jo qubūl kī dāvat
vo dil ko le uḌe aur duur jā baiThe
use bulāne baiThāne kā zikr hī kyā hai
jo az-ḳhud aa.e nigāhoñ meñ aur samā baiThe
hamāre haal pe itnā to vo karam kar de
ki dil na de na sahī kuchh qarīb aa baiThe
nafā samajh ke base the tumhāre kūche meñ
magar jo gāñTh meñ thā vo bhī sab luTā baiThe
ham un buzurg ke pairav haiñ ek adnā se
nazar kī raushnī jo tuur par gañvā baiThe
har ek bazm meñ charchā hai har zabāñ par zikr
ye kis se mājrā-e-ishq ham sunā baiThe
vo dast-e-faiz to 'rahbar' nihāl kar detā
umiid aap kisī aur se lagā baiThe
Top Urdushayar.com