dostī apnī kisī se na shanāsā.ī hai
zindagī ek musalsal shab-e-tanhā.ī hai
husn ināyat hai rifāqat hai masīhā.ī hai
ishq ibādat hai parastish hai jabīñ-sā.ī hai
raaz mahsūs hai is darja ki mere dil meñ
ḳhud tamāshā hai vo aur ḳhud hī tamāshā.ī hai
jis ke piine meñ baqā jis ke pilāne meñ savāb
merī taqdīr meñ zāhid vo sharāb aa.ī hai
ham se mil lete haiñ ye un kī dil-ārā.ī hai
duur jā baiThte haiñ ham yahī dānā.ī hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ pilā dī mire saaqī ne mujhe
ḳhauf-e-zillat hai na andesha-e-rusvā.ī hai
hamd-e-bārī hai mohabbat jo usī se ho jaa.e
jis ko maḳhsūs koī apnī adā bhaa.ī hai
vo mujhe dekh ke parde meñ jo chhup jaate haiñ
maiñ samajhtā huuñ mohabbat mujhe raas aa.ī hai
nisf sad-sāl se bhī zyāda huī umr tamām
aur kis din ke liye un kī masīhā.ī hai
dil meñ rakhte haiñ harīfoñ se chhupā kar mujh ko
un ko ma.alūm hai rahbar mirā saudā.ī hai
Thiik urdu abhī likhnī bhī nahīñ aa.ī hai
aisī kam-ilmī pe kyā ḳhuub ye goyā.ī hai
merī aadat hai vafā dil meñ shakebā.ī hai
baat yuuñ bārgah-e-nāz meñ ban aa.ī hai