zaḳhm kyā ubhre hamāre dil meñ un ke tiir ke
gul khile goyā ki ḳhvāb-e-ishq kī ta.abīr ke
pāsbāñ ne ġham diyā aur ham-damoñ ne jaan lī
aaj qaa.il ho ga.e ham gardish-e-taqdīr ke
ḳhud likhī hai ḳhūn-e-dil se ishq kī har dāstāñ
zer-e-ehsāñ maiñ nahīñ huuñ kātib-e-taqdīr ke
rakh diyā hai likhne vaale ne kaleja chiir kar
hai musannif munkashif har lafz meñ tahrīr ke
maiñ ne jab māyūs ho kar hoñT apne sī liye
phir ho kyuuñ mushtāq itne tum merī taqrīr ke
phir vahī saudā vahī vahshat vahī tarz-e-jūn.un
haiñ nishāñ maujūd saare ishq kī tāsīr ke
justujū-e-dīd meñ phirte haiñ sar-garda mudām
har qadam par haiñ muqābil aap kī tasvīr ke
be-kasoñ ma.asūm kī mushkil-kushā.ī kījiye
chhūTnā chakkar se hai gar āsmān-e-pīr ke
ḳhidmat-e-har-mustahiq vo kār-gar tadbīr hai
qufl khul jaate haiñ jis se bandish-e-taqdīr ke
dekhte haiñ dūsroñ kī aañkh ke til meñ bhī aib
be-ḳhabar haiñ lekin apnī aañkh ke shahtīr ke
tum farā.ez-mansabī anjām do 'rahbar' faqat
mat paḌo jhagḌe meñ tum taqdīr-o-tadbīr ke