ab jo ham ziist meñ bezār nazar aate haiñ
har taraf apne ḳharīdār nazar aate haiñ
vo hameñ maḳhzan-e-asrār nazar aate haiñ
ham unheñ āshiq-e-bezār nazar aate haiñ
ham ko mai-ḳhvār hī mai-ḳhvār nazar aate haiñ
sab mai-e-ishq se sarshār nazar aate haiñ
bad-zanī zulm-o-sitam hajv-e-sanam rusvā.ī
ishq meñ to baḌe āzār nazar aate haiñ
sab kā dil lete haiñ aur apnā nahīñ dete haiñ
aap ham ko baḌe hoshyār nazar aate haiñ
ḳhatm mujh par hī nahīñ ishq masīhā mere
mujh ko to aap bhī bīmār nazar aate haiñ
ab jo rusvā.ī pe merī unheñ dard aayā hai
bāryābī ke kuchh āsār nazar aate haiñ
dasht-paimā.ī se jab ābla-pā sotā huuñ
ḳhvāb meñ aap guhar-bār nazar aate haiñ
ek vo haiñ ki zamāne meñ hai shohra jin kā
ek ham mulk pe jo baar nazar aate haiñ
kūḌe-karkaT kā milegā na vilāyat meñ nishāñ
hind meñ har taraf ambār nazar aate haiñ
kis se shikva karūñ 'rahbar' ki sabhī ab to mujhe
mere dilbar ke talabgār nazar aate haiñ