kahīñ se ġhair jo pahlū meñ aa.e baiThe haiñ
isī liye vo hameñ yuuñ bhulā.e baiThe haiñ
zarā samajh ke karo ham se apne ġham kā bayāñ
ham ek umr ke sadme uThā.e baiThe haiñ
kabhī ḳhayāl meñ apne mujhe nahīñ laa.e
vo muddatoñ se mire dil meñ aa.e baiThe haiñ
kahāñ se loge vo sūrat vo kam-sinī kā jamāl
ham apne gosha-e-dil meñ chhupā.e baiThe haiñ
ḳhudā kā shukr hai un ko ḳhayāl to aayā
ki vo kisī kī nazar meñ samā.e baiThe haiñ
dharā hī kyā hai mohabbat meñ be-kasī ke sivā
ham apne aap muqaddar banā.e baiThe haiñ
nigāh-e-nāz ke tālib haiñ rahguzar meñ tirī
isī firāq meñ dhūnī ramā.e baiThe haiñ
kisī ko dekh liyā thā kahīñ pe nādāñ ne
tabhī se ḳhud ko ye hazrat lubhā.e baiThe haiñ