Imdad Ali Bahr

ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain

Imdad Ali Bahr

1810-1878

ham-zād hai ġham apnā shādāñ kise kahte haiñ

vāqif nahīñ ishrat sāmāñ kise kahte haiñ

bīmār-e-mohabbat haiñ ham tārik-e-rāhat haiñ

nā-vāqif-e-sehat haiñ darmāñ kise kahte haiñ

muddat se ye sāmāñ hai tan sho.ala-e-uryāñ hai

kyā chiiz garebāñ hai dāmāñ kise kahte haiñ

māthe pe pasīna hai qudrat tamāshā hai

tāroñ jhamak kyā hai afshāñ kise kahte haiñ

dil de ke jafā sahiye aafat meñ phañse rahiye

daanā jo hameñ kahiye nādāñ kise kahte haiñ

jab yaar ne dekhā hai ik zaḳhm lagāyā hai

sau tīroñ dastā hai mizhgāñ kise kahte haiñ

us turk palkoñ se mahfūz ḳhudā rakkhe

bar kaTte haiñ tīroñ paikāñ kise kahte haiñ

dil jo zarā.at hai ḳhār-o-ḳhas-e-zahmat se

ik qatre hasrat hai bārāñ kise kahte haiñ

sach kahte haiñ ye zīrak hai ishq-e-junūñ be-shak

vāqif na the ham gul tak zindāñ kise kahte haiñ

har-vaqt hai be-zārī har dam hai jafākārī

dil-jūī-o-dildārī-e-jānāñ kise kahte haiñ

ruḳhsār shaidā huuñ kyā gul ko samajhtā huuñ

mahv-e-ḳhat-e-zebā huuñ raihāñ kise kahte haiñ

muddat se hai dil barham sohbat se nahīñ mahram

āzād haiñ ghar se ham mehmāñ kise kahte haiñ

jaate haiñ kabhī dargāh shīvāle meñ bhī hai raah

maz.hab se nahīñ āgāh īmāñ kise kahte haiñ

haidar se tavallā hai rahmat bharosā hai

ai 'bahr' ḳhatā kyā hai isyāñ kise kahte haiñ

Top Urdushayar.com