phir dil ne kahā pyaar kiyā jaa.e kisī ko
jaise bhī ho hamvār kiyā jaa.e kisī ko
yuuñ yaad lagātār kiyā jaa.e kisī ko
āmāda-e-iz.hār kiyā jaa.e kisī ko
kam-hausla hai koī mohabbat meñ to phir kyuuñ
be-kār girāñ-bār kiyā jaa.e kisī ko
ma.ashūq kī marzī meñ hī āshiq kī razā hai
mash.hūr ḳhatā-vār kiyā jaa.e kisī ko
dil us kā jigar us kā hai jaañ us kī ham us ke
kis baat se inkār kiyā jaa.e kisī ko
saaqī kī ināyat hai to mai-kash ko hai kyā uzr
āsūda o sarshār kiyā jaa.e kisī ko
ik kaif thā sāġhar meñ to ham ban ga.e kaifī
sharminda na be-kār kiyā jaa.e kisī ko
hai be-kasī be-gunah to phir kyuuñ mere sarkār
rusvā sar-e-darbār kiyā jaa.e kisī ko
samjhāyā bahut ham ne pe 'rahbar' ko ye zid hai
sharminda-e-kirdār kiyā jaa.e kisī ko