ik gosha-e-dil meñ jo kisī ke haiñ makīñ ham
ye zo.am hai goyā ki haiñ vālī-e-zamīñ ham
jaarī hai diloñ kā to vahī rabt-e-nihānī
har-chand kahīñ aur haiñ vo aur kahīñ ham
kyā hai ye makāñ kyā ye dayār aur ye jahāñ kyā
ye auj hai apnā ki jahāñ vo haiñ vahīñ ham
ye mo.ajaza-e-ishq hai ik zinda haqīqat
aate haiñ nazar aaj jahāñ bhar meñ hamīñ ham
vaañ apnī rasā.ī na sahī dar to hai us kā
hote nahīñ aġhyār se yuuñ chīñ-ba-jabīñ ham
har ik meñ nazar aatī haiñ kuchh us kī adā.eñ
ulfat na kisī aur se kar baiThe kahīñ ham
jo chāhe kahe iizā de yā kuchh kare tazlīl
dar chhoḌ ke us kā nahīñ jā sakte kahīñ ham
parvāna-e-jannat hameñ dilvāte haiñ kyuuñ aap
kah to diyā sau baar ki jā.eñge nahīñ ham
nazzāra-e-ālam hai bas ik ḳhvāb-e-pareshāñ
bedār hue gar nazar ā.eñge hamīñ ham
duniyā meñ hai nairañgī-e-taqdīr tamāshā
the ābla-pā kal to haiñ ab taḳht-nashīñ ham
uff ik dil-e-'rahbar' pe hasīnoñ kī ye takrār
lalchāeñ hamīñ ham ise pā jaa.eñ hamīñ ham