āvāra sā galiyoñ meñ jo maiñ ghuum rahā huuñ
zāhir hai tirī diid se mahrūm rahā huuñ
phir āñkheñ bichhā.e hue huuñ raah meñ us kī
phir har kisī rah-rav ke qadam chuum rahā huuñ
ye hai mirī bedārī-e-qalbī kī hī ik vaz.a
har-chand tirī bazm meñ maiñ jhuum rahā huuñ
ġhaddārī-e-ulfat to nahīñ hai mirā sheva
is jurm ke hī ḳhyāl se ma.asūm rahā huuñ
ḳhush-qismatī-e-ahl-e-junūñ hai mirā hissa
āsā.ish-e-duniyāvī se mahrūm rahā huuñ
maiñ bārgah-e-husn se māyūs na aatā
ġham hai vale taqdīr meñ maġhmūm rahā huuñ
huuñ kyā ki jo vo qadr bhī karte mirī 'rahbar'
ik harf huuñ aur harf bhī mauhūm rahā huuñ