Jitendra Mohan Sinha Rahbar

main KHud hi KHwab-e-ishq ki tabir ho gaya

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
maiñ ḳhud hī ḳhvāb-e-ishq kī ta.abīr ho gayā
goyā har ik bashar tirī tasvīr ho gayā
apne kiye ko aa ke zarā dekh tīr-gar
tar ḳhūn-e-dil se daman-e-naḳhchīr ho gayā
phir pesh aa gayā vahī dilchasp hādisa
dil phir kisī ke daam meñ tasḳhīr ho gayā
ye vaz-e-āshiqān ye andāz-e-ehtirām
āḳhir mirā ḳhayāl use dil-gīr ho gayā
āsūdgī nasīb salīmuttaba huuñ maiñ
mujh ko ġharīb-ḳhāna hī kashmīr ho gayā
vābasta mujh se honā hai ḳhud vaj.h-e-āfiyat
dīvāna terā vālī-e-taqdīr ho gayā
tafrīd ḳhud zarīya-e-jāh-o-jalāl hai
maiñ terā ho ke sāhab-e-tauqīr ho gayā
to ḳhuub jāntā hai ki maiñ kaun thā kabhī
aur dekh ab ki kyā falak-e-pīr ho gayā
honā thā hashr-e-hasrat-o-hirmāñ agar yahī
'rahbar' zah-e-nasīb ki tū piir ho gayā
Top Urdushayar.com