Jitendra Mohan Sinha Rahbar

kuchh na puchho ru-ba-ru ja kar kisi ke kya hua

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
kuchh na pūchho rū-ba-rū jā kar kisī ke kyā huā
TikTikī bañdhne na paa.ī thī ki dil chaltā huā
le ga.ī dil ko kisī kī ik nigāh-e-avvalīñ
maiñ kisī ke husn par yak-bārgī shaidā huā
us lab-e-shīrīñ pe merā ek baar aayā jo naam
maiñ ye samjhā ḳhushtarī pahlū-e-qismat vā huā
hāl-e-hijrāñ pūchhte kyā ho ki sūrat dekh lo
saaf zāhir hai marīz-e-ġham gayā-guzrā huā
huuñ sarāpā majma-e-ummīd-o-yās o intizār
dhīre dhīre chal rahā hai yak-nafas ruktā huā
raah kyā sūjhe mujhe duniyā mirī tārīk hai
hai kisī zulf-e-siyah meñ dil mirā uljhā huā
aql kā thā pher apnī jo unheñ samjhā thā ġhair
vo to bilkul jān-e-jāñ haiñ raaz ye ifshā huā
tum mirī taqdīr meñ ho aur phir kyā chāhiye
kaun sā matlab rahā phir jo nahīñ puurā huā
mujh ko samjhāyā nahīñ nāseh udhar mat jā.iyo
phir kahoge ''luT ga.e ham, dil hamārā kyā huā''
ham to haiñ maddāh us ke ham ko sab manzūr hai
jo huā us ne kiyā, jo kuchh huā achchhā huā
un ko paane se ġharaz thī kuchh na thā duniyā se bair
mil ga.e vo ham ko duniyā hī meñ aur achchhā huā
āshiqī rahbar se sīkho sar karo manzil ba-ḳhair
us kā hai ye rāsta achchhī tarah dekhā huā
Top Urdushayar.com