Jitendra Mohan Sinha Rahbar

gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
gila-shikva kahāñ rahtā hai dil ham-sāz hotā hai
mohabbat meñ to har ik jurm nazar-andāz hotā hai
laboñ par qufl āñkhoñ meñ lihāz-e-nāz hotā hai
mohabbat karne vāloñ kā ajab andāz hotā hai
ishāre kaam karte haiñ mohabbat meñ nigāhoñ ke
nigāhoñ se hī bāham inkishāf-e-rāz hotā hai
guzartī hai jo us par sab gavārā kartā hai ḳhush ḳhush
jafāoñ se tumhārī dil kahāñ nārāz hotā hai
har ik se ham to be-shak karte haiñ talqīn ulfat kī
baḌā taqdīr vaalā hī koī ham-sāz hotā hai
sukūn-e-qalb hāsil hai pareshāñ maiñ nahīñ dilbar
jo tum se duur hotā hai vahī nā-sāz hotā hai
maiñ huuñ shākī o nāzāñ to faqat is rasm-e-duniyā se
vahī ġhammāz ho jaatā hai jo hamrāz hotā hai
nahīñ hai gar ye duniyā bhī haqīqat se hī vābasta
to kyuuñ dil is kī jānib mā.il-e-parvāz hotā hai
baḌī tabdīliyāñ hotī haiñ ulfat un se hone par
zamīr-e-ḳhud-ġharz kā sāz-e-be-āvāz hotā hai
samajhte haiñ hamīñ haiñ hukmarāñ is saare aalam ke
nazar meñ jab hamārī vo hasīñ andāz hotā hai
nazar aatā hai har sū jalvā-e-anvar meñ ġharq aalam
dil-e-pur-kaif behis dar-haqīqat baaz hotā hai
judā-gāna magar andāz hotā hai har āshiq kā
machātā hai koī ġhul koī be-āvāz hotā hai
safar manzil-ba-manzil tai kiyā jaatā hai ulfat kā
baḌī muddat meñ sar vo bārgāh-e-nāz hotā hai
vahī hai kāmrāñ āshiq jo us ko paar kar jaa.e
diloñ ke darmiyāñ jo ik jahān-e-rāz hotā hai
baḌhā aur un se vāqif ho ki āzār-e-ġham-e-furqat
duī ke farsh kā ehsās be-andāz hotā hai
tanāsuḳh hai musalsal ibtidā-e-āfrīnash meñ
hayāt-e-jāvedāñ meñ kaun daḳhl-andāz hotā hai
na ham-pesha na ham-ḳhāna na ham-piyāla na ham-bistar
vahī apnā hai 'rahbar' jo bhī ham-āvāz hotā hai
Top Urdushayar.com