kānoñ ko hai bhaa.ī huī taqrīr kisī kī
ā.ankhoñ meñ samā.ī huī tasvīr kisī kī
kuchh ishq meñ chaltī nahīñ tadbīr kisī kī
sar phoḌ jo rah jaa.e hai taqdīr kisī kī
har zarre meñ hai jalva har ik qatre meñ hai aab
hai arsh pe chhā.ī huī tanvīr kisī kī
andāz butoñ ke nahīñ aate haiñ nazar meñ
rahtī hai nigāhoñ meñ jo tasvīr kisī kī
ḳhat paḌh ke kahīñ aur bigaḌ baiThe na yārab
yaad aa.ī hai abrū dam-e-tahrīr kisī kī
ye girya-o-zārī dil-e-betāb kahāñ tak
rusvā kahīñ ho jaa.e na taqsīr kisī kī
ik muntazir-e-dīd kī pathrā ga.iiñ āñkheñ
tāḳhīr kisī kī huī ta.azīr kisī kī
maiñ faḳhr se kahtā huuñ mujhe tum se hai ulfat
baḌhtī hai tire naam se tauqīr kisī kī
ruḳh pher magar sar na hile dekh ki zālim
aTkī hai tirī zulf meñ taqdīr kisī kī
mehmāñ hai koī din ke, chale jā.eñge 'rahbar'
baiTheñge nahīñ daab ke jāgīr kisī kī