chaar din hai ye javānī na bahut josh meñ aa
ai but-e-mast-e-mai-husn zarā hosh meñ aa
dil ye kahtā hai jo vo sham-e-ezār aa nikle
ban ke fānūs pukārūñ mire āġhosh meñ aa
qadam-e-yār kā āvāza har ik gul par hai
amn chāhe jo ḳhizāñ se mirī pā-posh meñ aa
mere sheroñ ke jo mushtāq haiñ farmāte haiñ
dur-e-mazmūñ sadaf-e-lab se nikal gosh meñ aa
be-qarār aise sitāre durr-e-ġhaltāñ ho jaa.eñ
aap jhamkī se jo farmā.eñ nayā gosh meñ aa
piir huuñ bojh mohabbat kā uThā.ūñ kyūñkar
phir javānī ko pukāroñ ki barū dosh meñ aa
basar-e-pīr-e-muġhāñ ruuh tū hī hī ai ruuh
jald shīshe se nikal jism-e-qadh-e-nosh meñ aa
baiTh kar yaar ke pahlū meñ jo uThtā huuñ kabhī
pā-e-ḳhvābīda ye kahtā hai mujhe hosh meñ aa
roz-e-bad ek na ik din tujhe nañgiyā legā
ai zarī-posh ham ahbāb-e-namad-posh meñ aa
daaġh ho jā.egā ye taaj zarī kā ai sham.a
jī jalāne ko na ḳhūbān-e-zarī-posh meñ aa
ne.amat-e-ġhaib se kahtī hai muhavvis kī havā
uḌ ke jauhar kī tarah deg se sar-posh meñ aa
daaġh haiñ ek ke par kaale bhaḌak uTheñge
dekh o fasl-e-bahārī na bahut josh meñ aa
naql-e-mahfil nazar aatā nahīñ koī ham meñ
shaiḳh masjid se nikal bazm-e-nai-o-nosh meñ aa
vasl meñ fasl na baaqī rahe ai jān-e-jahāñ
jaise pahlū meñ hai dil yuuñ mire āġhosh meñ aa
haath aa.egā muqarrar vo ġhazāl-e-vahashī
'bahr' chartī hai kahāñ aql zarā hosh meñ aa