Imdad Ali Bahr

wafa mein barabar jise tol lenge

Imdad Ali Bahr

1810-1878
vafā meñ barābar jise tol leñge
use saltanat bech kar mol leñge
ijāzat agar sar paTakne kī hogī
muqaffal dar-e-yār ham khol leñge
tabībo na baḳhshe kī sehat ThanD aa.e
na jab tak ki zahr is meñ ham ghol leñge
kisī din jo palTā muqaddar hamārā
bike jis ke hāthoñ use mol leñge
guloñ se na hogī jo uqda-kushā.ī
girah dil ke kāñTe se ham khol leñge
hameñ baaġh jaane se ye mudda.ā hai
zarā bulbul-o-gul se hañs bol leñge
rihā.ī na deñge vo qaid-e-sitam se
na jab tak merī jaan ko ol leñge
badan kyuuñ chhupāte ho zevar pahan kar
javāhar ke ikke na ham khol leñge
abhī ham se aur un se sohbat na.ī hai
jo muñh lag chaleñge to hañs-bol leñge
ġham-e-yār bhī abr-e-naisāñ hai ai 'bahr'
jo Tapkeñge aañsū guhar rol leñge
Top Urdushayar.com