agar hai ret kī dīvār dhyān TūTegā
ye hausla na pas-e-imtihān TūTegā
jahāñ jahāñ bhī mirā naam hai fasāne meñ
vahāñ vahāñ tirā zor-e-bayān TūTegā
tasavvurāt ke ghar meñ ḳhamosh baiThā huuñ
tum aaoge to ḳhayālī makān TūTegā
kasīf dhuup se jal jā.egā hasīn badan
mirī umiid kā jab sā.ebān TūTegā
ajiib karb meñ Duubī huī sadā hogī
ġhurūr jab tirā ban kar chaTān TūTegā
na raas aa.egī jab ham ko mauj-e-sail-e-ravāñ
hamārī kashtī pe jab bādbān TūTegā
mujhe yaqīñ tire jalve fareb de deñge
mirī nigāh kā jab bhī gumān TūTegā
ye zulm-o-jaur ke aivān phir kahāñ hoñge
ye be-sutūn agar āsmān TūTegā
savād-e-manzil-e-idrāk pā.egā 'rāhī'
nishān ban ke agar be-nishān TūTegā