sukūn-e-qalb ke asbāb ham pe band rahe
magar ham ahl-e-mohabbat vafā-pasand rahe
qadam qadam pe sajā.e ga.e the dār-o-rasan
ḳhudā kā shukr ki ham phir bhī sar-buland rahe
vo ik hameñ the jo sharminda-e-karam na hue
vo nañg-e-ishq the jo iltijā-pasand rahe
tire sitam ne mire dil ko hausla baḳhshā
ḳhudā kare ki tirā hausla buland rahe
zabāñ se tāqat-e-guftār chhīnñe vaalo
tumhīñ batāo ki kab tak zabān band rahe
jo āshnā-e-fazā-e-falak the ai 'māhir'
vo ḳhizr bhī to mirī gard-e-pā meñ band rahe