ai asīrān-e-tilism-e-shab-e-ġham so jaao
sham-e-ummīd kī lo ho ga.ī kam so jaao
chāñd-tāroñ kī chamak ho ga.ī kam so jaao
sarhad-e-sub.h meñ haiñ shab ke qadam so jaao
ab na jaago kisī guzrī huī shab kī yaado
tum ko ham jāgne vāloñ kī qasam so jaao
bujh ga.ī sham.a bhī parvāne bhī dam toḌ chuke
un ke aane kī ab ummīd hai kam so jaao
DabDabā.ī huī āñkho tumheñ ashkoñ kī qasam
khul na jaa.e kahīñ ulfat kā bharam so jaao
ġham ke māroñ ko sukūñ miltā hai maiḳhāne meñ
jaao chheḌo na hameñ shaiḳh-e-haram so jaao
dil dhaḌakne kī bhī āvāz hai sākit 'māhir'
ab nahīñ koī sharīk-e-shab-e-ġham so jaao