Imdad Ali Bahr

ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ġhazab hai dekhne meñ achchhī sūrat aa hī jaatī hai
nahīñ roke se dil ruktā tabī.at aa hī jaatī hai
bharā hai dil hamārā dostoñ kī bevafā.ī se
kahāñ tak zabt bātoñ meñ shikāyat aa hī jaatī hai
paḌegā tere jī meñ shak na sun ġhammāz kī bāteñ
hazār ā.īna ho dil par kudūrat aa hī jaatī hai
ye kyā ma.alūm thā ye ishq saudā.ī bānegā
kahīñ Taltī hai aane vaalī aafat aa hī jaatī hai
tilā.ī rañg par kyuuñ kar na un logoñ ko ġharrā ho
ye zar vo chehra hai ḳhātir meñ naḳhvat aa hī jaatī hai
junūn-e-ishq meñ har chand kuchh ġhairat nahīñ lekin
jo koī taan kartā hai hamīyat aa hī jaatī hai
ajab rūdād hai apnī bayāñ karte haiñ ham jis se
nikal aate haiñ aañsū us ko riqqat aa hī jaatī hai
nikal jaa.e na kyuuñ kar shahr se majnūñ bayābāñ ko
bashar ko apnī uryānī se ġhairat aa hī jaatī hai
hañsī achchhī nahīñ dekho tamīz is meñ nahīñ rahtī
ki muñh lag chalne meñ bose kī naubat aa hī jaatī hai
lachakte hī kamar zulf-e-rasā kī jhoñk lene se
asar ma.ashūq-pan kā hai nazākat aa hī jaatī hai
bahut apne ko shā.ista vo ġhairoñ meñ banāte haiñ
tabī.at meñ jo garmī hai sharārat aa hī jaatī hai
kahāñ tak nek sohbat kā asar hogā na insāñ ko
mile tāñbā jo sone se to rañgat aa hī jaatī hai
ḳhudā sūrat na dikhlā.e mujhe ātish-izāroñ kī
hazār un se hai dil ThanDā harārat aa hī jaatī hai
duā-e-maġhfirat jab māñgte haiñ us se ro ro kar
barābar josh meñ ḳhāliq kī rahmat aa hī jaatī hai
koī mahbūb us kī jaan kā saa.il jo hotā hai
jhukā letā hai 'bahr' āñkheñ muravvat aa hī jaatī hai
Top Urdushayar.com