qadam qadam pe ajab hādsāt-e-ġham guzre
jahāñ jahāñ se tirī justujū meñ ham guzre
ġham-e-hayāt ko le kar jidhar se ham guzre
hujūm-e-hādisa-e-nau-ba-nau baham guzre
na raas aa.e mirī zindagī mujhe ai dost
kabhī garāñ jo mire dil pe terā ġham guzre
qadam qadam pe huā imtihān-e-hosh-o-ḳhirad
ḳhudā kā shukr ki dāman bachā ke ham guzre
nazar meñ raqs-kunāñ hai tasavvur-e-ruḳh-e-dost
ye kah do bād-e-sabā se dabe qadam guzre
jabīñ jhuke to simaT aa.e āstān-e-habīb
vo sajda kyā jo ba-qaid-e-dar-e-haram guzre
milī jahāñ se matā-e-ḳhushī zamāne ko
ham us maqām se 'māhir' ba-chashm-e-nam guzre