Asar Lakhnavi

taskin-e-dil ko ashk-e-alam kya bahaun main

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
taskīn-e-dil ko ashk-e-alam kyā bahā.ūñ maiñ
jo aag ḳhud lagā.ī hai kyūñ-kar bujhā.ūñ maiñ
barbād kar chuke vo maiñ barbād ho chukā
ab kyā rahā hai ro.uuñ aur un ko rulā.ūñ maiñ
lāchuk, nasīm-e-sub.h, payām-e-visāl-e-dost
kab tak misāl-e-sham.a rag-e-jāñ jalā.ūñ maiñ
ai ishq kyā yahī hai makāfāt-e-ārzū
apnī hī ḳhaak haath se apne uḌā.ūñ maiñ
royā yūñhī jo hijr meñ shab bhar to kyā ajab
taare kī tarah vaqt-e-sahar Duub jā.ūñ maiñ
Top Urdushayar.com