Asar Lakhnavi

bahaar hai tere aariz se lau lagae hue

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
bahār hai tire aariz se lau lagā.e hue
charāġh lāla-o-gul ke haiñ jhilmilā.e hue
tirā ḳhayāl bhī terī hī tarah aatā hai
hazār chashmak-e-barq-o-sharar chhupā.e hue
lahū ko pighlī huī aag kyā banā.eñge
jo naġhme aañch meñ dil kī nahīñ tapā.e hue
zarā chale chalo dam bhar ko din bahut biite
bahār-e-sub.h-e-chaman ko dulhan banā.e hue
qadīm se hai yahī rasm-o-rāh-e-mulk-e-vafā
ki āzmā.e ga.e jo the āzmā.e hue
DhiTā.ī dekhī thī us se laḌāte haiñ āñkheñ
sitāre āñkhoñ kī terī jhapak churā.e hue
hai jā-e-husn hayā aur bhī izāfa kar
nazar ke sāmne aa jā nazar jhukā.e hue
jo muntazir the kisī ke vo so ga.e āḳhir
sisaktī ārzūoñ ko gale lagā.e hue
ab is ke baad gila kis se kījiye kis kā
samajhte the jinheñ apnā vahī parā.e hue
ham apne hāl-e-pareshāñ pe muskurā.e the
zamāna ho gayā yuuñ bhī to muskurā.e hue
hamesha kaif se ḳhālī raheñge vo naġhme
jo terī nik.hat-e-ḳhush meñ nahīñ basā.e hue
'asar' sunātī haiñ ab dil kī dhaḌkaneñ shab ko
fasāne us nigah-e-mast ke sunā.e hue
Top Urdushayar.com