jhapkī zarā jo aañkh javānī guzar ga.ī
badlī kī chhāñv thī idhar aa.ī udhar ga.ī
mashshāta-e-bahār ajab gul katar ga.ī
muñh-band jo kalī thī khilī aur sañvar ga.ī
pesh-e-jamāl-e-yār kiran āftāb kī
sharmā ke chāhtī thī ki palTe bikhar ga.ī
mal ke bhabhūt chehre pe tāroñ kī chhāñv kā
dhonī ramā.e dar pe ye kis ke sahar ga.ī
kyā jaane aañkh maar ke kyā kah ga.ī shafaq
phūloñ kī god mauj-e-nasīm aa ke bhar ga.ī
siine meñ aur taab de shole ko shauq ke
sajda ġhalat agar na tajallī nikhar ga.ī
terī hī jalva-zār hai duniyā-e-rañg-o-bū
ai vaa.e vo nazar jo hijābāt par ga.ī
ab haath malte haiñ ki dam-e-arz-e-mājrā
kahne kī baat dhyān se kaisī utar ga.ī
kuchh din kī aur kashmakash-e-zīst hai 'asar'
achchhī burī guzarnī thī jaisī guzar ga.ī