Asar Lakhnavi

nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
nigah-e-shauq ko yuuñ ā.ina-sāmānī de
ishq ko husn banā husn ko hairānī de
dil-navāzī meñ bhī iizā hai mohabbat kī qasam
tujh ko fursat jo kabhī shuġhl-e-sitam-rānī de
kuchh tirī chashm-e-suḳhan-sāz kā iimā na khulā
lab-e-mai-nosh ko taklīf-e-gul-afshānī de
phuul vo hai jo mayassar chaḌhe ye suntā thā
ab khulā dil kī rah-e-ishq meñ qurbānī de
aa.ina sañg-e-dar-e-dost huā bhī to kyā
sar jo sajde meñ jhuke lau tirī peshānī de
uf vo purkār jo sunte hī taġhāful kā gila
ishva-o-nāz ko ta.alīm-e-pashīmānī de
dil-e-betāb-e-tamāshā kī tasallī ma.alūm
apne har jalve ko ik paikar-e-insānī de
us kī añgḌā.ī kā aalam to kabhī dekh ai gul
aur hī husn tirī chāk-garebānī de
aao shīrāza-e-hastī ko pareshāñ kar deñ
yuuñ ki us zulf ko paiġhām-e-pareshānī de
terī sarkār ġhanī terā gadā bhī hai ġhanī
kuchh na de aur jo de ġham kī farāvānī de
is tavaqqo pe huuñ ḳhāmosh ki vo shoḳh-nigāh
phir Tahokā pa-e-taqrīb-e-ġhazal-ḳhvānī de
Top Urdushayar.com