Asar Lakhnavi

kis tarah khilte hain naghmon ke chaman samjha tha main

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
kis tarah khilte haiñ naġhmoñ ke chaman samjhā thā maiñ
sāz-e-hastī par tujhe jab zaḳhma-zan samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar thī ham-navā ho jā.eñge sayyād ke
baaġh kā apne jinheñ sarv-o-saman samjhā thā maiñ
qaidī-e-be-ḳhānumāñ zindāñ se chhūTe bhī agar
aur kuchh baḌh jā.eñge rañj-o-mehan samjhā thā maiñ
tābe-e-gardish haiñ kis ke inqilābāt-e-jahāñ
kyā kahegī terī chashm-e-pur-fitan samjhā thā maiñ
is tarah dil chaak hotā hai na yuuñ TukḌe jigar
lāla-o-gul haiñ tire ḳhūn-e-kafan samjhā thā maiñ
to milā jis ko use kyā jaan o tan se vāsta
tafraqa thā jis ko rabt-e-jān-o-tan samjhā thā maiñ
haqq-o-bātil kā 'asar' miTne lagā jab imtiyāz
taaza hogā qissa-e-dār-o-rasan samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com