sahrā se chale haiñ sū-e-gulshan
ḳhūnīñ-jigarān-e-chāk-dāman
paiġhām-e-bahār de rahī hai
dāġhoñ kī jhalak diloñ kī uljhan
raqsāñ hai nasīm barg-e-gul par
shabnam meñ hai ghuñgrūoñ kī chhan-chhan
ġhunchoñ ke badan meñ sansanī hai
mastī meñ chhuā sabā ne dāman
dilkash na ho kyuuñ kalām 'asar' kā
sīkhā hai ye us ne 'mīr' se fan