Asar Lakhnavi

aaKHir-e-kar yahi uzr jafa ka nikla

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
āḳhir-e-kār yahī uzr jafā kā niklā
jurm aur jurm bhī ik umr-e-vafā kā niklā
os meñ Duub ke jis tarah nikhartā hai gulāb
sharm se aur sivā husn adā kā niklā
kyā karī hai ki jab dar pe tire aa baiThā
āstīñ se na kabhī haath gadā kā niklā
jo duā māñgī hai auroñ hī kī ḳhātir māñgī
hausla aaj mire dast-e-duā kā niklā
shauq-e-manzil hī liye uTh ga.e jaane vaale
āshnā ek na āvāz-e-darā kā niklā
jab tū hī tū hai to phir ġhaib o huzūrī kaisī
ek hī rañg baqā aur fanā kā niklā
Top Urdushayar.com