maiñ us but kā vasl ai ḳhudā chāhtā huuñ
maraz ishq kā hai davā chāhtā huuñ
bayān-e-malāhat kiyā chāhtā huuñ
suḳhan meñ namak kā mazā chāhtā huuñ
na dekhūñ maiñ us gul ke pahlū meñ kāñTā
uḌe ġhair aisī huā chāhtā huuñ
mujhe tasma-bandī ho ai zulf-e-pechāñ
faqīr āj-kal maiñ huā chāhtā huuñ
lagī be-tarah hai ḳhudā hī bachā.e
sulagtā hai dil meñ jalā chāhtā huuñ
bahut karvaTeñ liiñ nahīñ niiñd aatī
baġhal meñ koī dilrubā chāhtā huuñ
mohabbat meñ ye aql zaa.il huī hai
ki ahl-e-daġhā se vafā chāhtā huuñ
khule hāl-e-bīmār chashm-e-suḳhan-go
ishāroñ meñ bāteñ kiyā chāhtā huuñ
burā maan jāoge muñh pher loge
na pūchho qasam de ke kyā chāhtā huuñ
nigāheñ ulajhtī haiñ zulfoñ meñ be-Dhab
un āñkhoñ ke hāthoñ phañsā chāhtā huuñ
mah-e-nau ke misre meñ misre lagā.ūñ
maiñ itnī tabī.at-rasā chāhtā huuñ
hue chāra-jū kab marīz-e-mohabbat
ḳhudā maut de jo shifā chāhtā huuñ
vahī dushman-e-jāñ hai ai 'bahr' merā
jise jaan se maiñ sivā chāhtā huuñ