mujh ko har phuul sunātā thā fasāna terā
tere dāman kī qasam apne garebāñ kī qasam
gūñjtā rahtā thā ik naġhma mire kānoñ meñ
tapish-āhañgī-e-mizrāb-e-rag-e-jāñ kī qasam
iltifāt-e-nigah-e-nāz kā saudā thā kabhī
ḳhatm vo daur huā gardish-e-daurāñ kī qasam
ab na vo dil hai na vo valvala-e-arz-e-niyāz
haath se chhūTe hue gosha-e-dāmāñ kī qasam
mujh ko barbād hī rahne de talāfī se guzar
ishq ehsāñ hai girāñ-bārī-e--ehsāñ kī qasam
adab-āmoz-e-mohabbat hai mohabbat merī
varna khātā tire toḌe hue paimāñ kī qasam