Asar Lakhnavi

aap bik jae koi aisa KHaridar na tha

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
aap bik jaa.e koī aisā ḳharīdār na thā
mere yūsuf ke liye misr kā bāzār na thā
ḳhuuñ huā ashk banā aur mizha se Tapkā
dil ki lazzat-kash-e-rañgīnī-e-inkār na thā
mubtalā huuñ tirā jab se sanam-e-kufr-farosh
zulf-e-tā-dosh na thī dosh pe zunnār na thā
qissa-e-tūr kabhī gosh-e-haqīqat se suno
shauq-e-dīdār ba-juz hasrat-e-dīdār na thā
ġhāza-e-chehra-e-gul naqsh-o-nigār-e-hastī
koī qatra dil-e-ḳhūñ-gashta kā bekār na thā
le ga.ī vahshat-e-dil kal mujhe us aalam meñ
besh-az-nuqta jahāñ gumbad-e-dvvār na thā
lazzat-e-dard se vāqif thā dil-e-zār 'asar'
varna mar jaanā tire hijr meñ dushvār na thā
Top Urdushayar.com