Asar Lakhnavi

kahe ko aise DhiT the pahle jhuTi qasam jo khate tum

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
kaahe ko aise DhiiT the pahle jhūTī qasam jo khāte tum
ġhairat se aa jaatā pasīnā aañkh na ham se milāte tum
haif tumheñ fursat hī nahīñ hai varna kyā kyā hasrat thī
haal hamārā kuchh sun lete kuchh haal apnā sunāte tum
nañg hai milnā aar takallum ek zamāna aisā thā
bazm meñ apnī ham ko bulā kar izzat se biThlāte tum
ham vo nahīñ yā tum vo nahīñ tum hañste ho aur ham rote haiñ
yā hichkī ulTī jaatī thī jitnā hameñ samjhāte tum
vaz.a bhī koī shai hai āḳhir dil ko 'asar' samjhānā thā
dar se kisī ke ik baar uTh kar kaash dobāra na jaate tum
Top Urdushayar.com