Asar Lakhnavi

ashk-e-gul-rang nisar-e-gham-e-jaanana karen

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967

ashk-e-gul-rañg nisār-e-ġham-e-jānāna kareñ

aaj terī ḳhushī ai dil-e-dīvāna kareñ

dard-mandoñ se ye kah do ki bā-ā.īn-e-niyāz

dil ko zauq-karam yaar se begāna kareñ

taaki āsūda-e-hirmāñ dil-e-ġham-kosh na ho

do ghaḌī zikr-e-mai-o-sāqī-o-paimāna kareñ

bū-e-ḳhush terī nahīñ jin ke mashām-e-jāñ meñ

rañg-o-nik.hat guloñ ko vahī paimāna kareñ

ka.aba-o-dair-o-kalīsā fazāoñ se alag

aao ta.amīr mohabbat jilau-ḳhāna kareñ

itnī fursat kahāñ hai ki tire soḳhta-jāñ

jalne marne meñ ham-āhañgī-e-parvāna kareñ

apnī hastī faqat itnī hai rūdād 'asar'

jaise mansūb haqīqat se ik afsāna kareñ

Top Urdushayar.com