Asar Lakhnavi

ishq ki garmi-e-bazar kahan se laun

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
ishq kī garmī-e-bāzār kahāñ se lā.ūñ
yūsuf-e-dil kā ḳharīdār kahāñ se lā.ūñ
sunte hī naġhmoñ kī ik lahr ragoñ meñ dauḌe
maiñ tirī shoḳhī-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
vahī shorīda-sarī hai vahī īzā-talabī
ishq meñ jāda-e-hamvār kahāñ se lā.ūñ
ho ga.iiñ āñkhoñ se vo mast nigāheñ ojhal
ishrat-ḳhāna-e-ḳhummār kahāñ se lā.ūñ
dil kī dhaḌkan meñ sunā kartā thā paiġhām tirā
ab vo hañgāma-e-bisyār kahāñ se lā.ūñ
us par ā.īna ho kis tarah haqīqat dil kī
shauq-e-minnat-kash-e-iz.hār kahāñ se lā.ūñ
ma.abad-e-dil meñ parastār-e-mohabbat huuñ 'asar'
ravish-e-kāfir-o-dīñ-dār kahāñ se lā.ūñ
Top Urdushayar.com