Asar Lakhnavi

bhule afsane wafa ke yaad dilwate hue

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
bhūle afsāne vafā ke yaad dilvāte hue
tum to aa.e aur dil kī aag bhaḌkāte hue
mauj-e-mai bal khā ga.ī gul ko jamā.ī aa ga.ī
zulf ko dekhā jo us aariz pe lahrāte hue
be-muravvat yaad kar le ab to muddat ho ga.ī
terī bātoñ se dil-e-muztar ko bahlāte hue
niiñd se uTh kar kisī ne is tarah āñkheñ malīñ
sub.h ke taare ko dekhā aañkh jhapkāte hue
ham to uTThe jaate haiñ lekin batā de is qadar
kis ke dar kī ḳhaak chhāne tere kahlāte hue
jhaaḌ kar dāman 'asar' jis bazm se uTh aa.e the
aaj phir dekhe ga.e hazrat udhar jaate hue
Top Urdushayar.com