Asar Lakhnavi

na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zar mein hai

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
na sharh-e-shauq na taskīn jān-e-zār meñ hai
mazā jo apnī mohabbat ke e'tibār meñ hai
abhī se hosh na kho baiTh ai nasīm-e-chaman
abhī to ek shikan zulf-e-tābdār meñ hai
ḳhud apne ishq kī rañgīniyoñ meñ gum ho jā
nahīñ kuchh aur agar ye to iḳhtiyār meñ hai
ye mahviyat koī dekhe ki misl-e-ā.īna
junūn-e-ḳhud-nigarī apne intizār meñ hai
na hai nasīb milī aur ba-qadr-e-zarf milī
supurdagī kī jo ik shaan iḳhtiyār meñ hai
harīf-e-bazm-e-tamāshā tirī nigāh nahīñ
vagarna husn to ḳhud tere intizār meñ hai
'asar' mujhe hai vahāñ ruḳhsat-e-navā-sanjī
ki naġhma ik lab-e-ḳhāmosh jab dayār meñ hai
Top Urdushayar.com