haa.e re pyārī pyārī aañkh
matvālī rat-nārī āñkheñ
ġhārat-e-dil par TuuT paḌī hai
shyām-nagar kī kumārī āñkheñ
us ghaḌī dekho in kā aalam
niiñd se jab hoñ bhārī āñkheñ
zahr kabhī haiñ aur kabhī amrit
un kī baaī baaī āñkheñ
jin ko jhapaknā yaad nahīñ hai
hairat kī haiñ vo maarī āñkheñ
taktī haiñ ab tak raah kisī kī
sub.h o shaam shikārī āñkheñ
kaun 'asar' kī nazar meñ samā.e
dekhī hai us ne tumhārī āñkheñ