Imdad Ali Bahr

aashna koi ba-wafa na mila

Imdad Ali Bahr

1810-1878
āshnā koī bā-vafā na milā
kashti-e-dil kā nāḳhudā na milā
jā-e-marham namak chhīḌaknā thā
zaḳhm khāne kā kuchh mazā na milā
us ke kūche meñ aise bhūle ham
ghar ke jaane kā rāsta na milā
dil diyā jis ko rañj hai paayā
koī dildār bā-vafā na milā
zindagī talḳh ho ga.ī apnī
tujh se milne kā kuchh mazā na milā
dekh lī ham ne dostī terī
ham se ab aañkh bevafā na milā
kuchh ijāra nahīñ bane na bane
kyā shikāyat hai dil milā na milā
āsmāñ par dimāġh-e-yār rahā
kabhī jhuk kar vo mah-laqā na milā
bosa-e-lab kī tum se kyā ummīd
ek biiḌā bhī paan kā na milā
DhūñDhtī haiñ kunisht meñ jā kar
shaiḳh ka.abe meñ to ḳhudā na milā
ek ik ko pilā.e do do jaam
dard bhī ham ko sāqiyā na milā
naqal kab asl kī muqābil hai
us ke chehre se aa banā na milā
nazar aa.ī jo vo dahan to kahūñ
mujh ko anqā kā āshiyāna milā
jin ko takiya thā apnī masnad par
un ko dekhā ki boriyā na milā
'bahr' nikle the DhūñDhne us ko
aise kho.e ga.e patā na milā
Top Urdushayar.com