naved-e-vasl-e-yār aa.e na aa.e
barābar hai bahār aa.e na aa.e
tujhe karnā hai jo kuchh aaj kar le
ki phir ye rozgār aa.e na aa.e
kiye jā dard-e-dil ai nā-murādī
kisī ko e'tibār aa.e na aa.e
koī pursāñ na ho jab hāl-e-bad kā
tamannā sogvār aa.e na aa.e
jo vo bil-farz ho pursish pa maa.il
dil-e-bismil qarār aa.e na aa.e
sitam se jab talāfī ho sitam kī
tumhīñ kah do ki pyaar aa.e na aa.e
'asar' hai aur lazzat be-ḳhudī kī
vo jān-e-intizār aa.e na aa.e