dil gayā be-qarāriyāñ na ga.iiñ
ishq kī ḳhām-kāriyāñ na ga.iiñ
mar miTe naam par vafā ke ham
terī be-e'tibāriyāñ na ga.iiñ
lab pe aayā na us kā naam kabhī
ġham kī parhez-gāriyāñ na ga.iiñ
khap ga.ī jaan bujh ga.e tevar
ashk kī tābdāriyāñ na ga.iiñ
tauba karne ko ham ne kī to magar
tauba kī sharmsāriyāñ na ga.iiñ
jaan aa hī ga.ī laboñ pe magar
shauq kī parda-dāriyāñ na ga.iiñ
vo hai kiina ki sard-mehrī hai
apnī jānib se yāriyāñ na ga.iiñ
girya bhī hai 'asar' kā mastāna
na ga.iiñ bāda-ḳhvāriyāñ na ga.iiñ