ātish-e-bāġh aisī bhaḌkī hai ki jaltī hai havā
kūcha-e-gul se dhuāñ ho kar nikaltī hai havā
girya-e-ushshāq se kīchaḌ hai aise jā-ba-jā
thaam kar dīvār-o-dar galiyoñ meñ chaltī hai havā
gulshan-e-ālam kī nairañgī se hotā hai yaqīñ
phir shagūfa phūltā hai phir badaltī hai havā
dekhiye jā kar zarā kaifiyyat-e-josh-e-bahār
jhūmte haiñ peḌ gir gir kar sambhaltī hai havā
nā-rasā.ī dekhnā uḌtā hai jab merā ġhubār
yaar ke koThe kī kānis se phisaltī hai havā
garmiyoñ meñ sair gulzāroñ kī bhātī hai mujhe
har qadam par pañkhiyā phūloñ kī jhaltī hai havā
'bahr' pañkhā haath se rakh do nihāyat zaar huuñ
mauj-e-dariyā kī tarah mujh ko kuchaltī hai havā