Bismil Arifi

jhankar ka rishta to hai zanjir se sain

Bismil Arifi

Samastipur, Bihar, India

1970
jhankār kā rishta to hai zanjīr se sā.īñ
kyoñ log pareshāñ hue ta.abīr se sā.īñ
kuchh log abhī shahr meñ aise bhī haiñ ḳhush-posh
jo aag lagā dete haiñ taqrīr se sā.īñ
haq bolne kā hausla ab ham meñ nahīñ hai
nisbat to nikaltī rahī shabbīr se sā.īñ
tadbīr pe mauqūf hai duniyā kī hukūmat
ham log ulajhte rahe taqdīr se sā.īñ
rahne do abhī ā.ina-ḳhāne meñ koī aks
kuchh dil to bahal jaatā hai tasvīr se sā.īñ
pahle hī bahut der huī aane meñ un ke
ab jaan nikal jā.egī tāḳhīr se sā.īñ
tadbīr kuchh aisī karo ulfat ke nigahbāñ
bichhḌe na koī rāñjhā kisī hiir se sā.īñ
Top Urdushayar.com