rut badaltī hai badaltā nahīñ manzar sā.īñ
ab kahāñ jaa.e batā terā qalandar sā.īñ
ik mire naam nahīñ terī saḳhāvat varna
jagmagātā hai karishma tirā dar dar sā.īñ
shahr kā shahr huā jaatā hai kaise sairāb
kaun aayā hai yahāñ le ke samundar sā.īñ
ab to mahsūs ye hotā hai ki manzil hai qarīb
rāsta aisā nahīñ hotā munavvar sā.īñ
koī kuchh bhī na kahe shahar-e-adāvat hī sahī
ham to ābād hue haiñ yahāñ luT kar sā.īñ
shā.irī jis ke liye kī vo sirā hai to hai baat
laakh duniyā mujhe kahtī hai suḳhnavar sā.īñ
phir kisī roz tamannā ke qadam chūmūñgā
aaj to jaane diyā jaa.e mujhe ghar sā.īñ
karbalā hai to yahāñ sar kī bhī qīmat hogī
kuchh to in.aam rahegā mire sar par sā.īñ